SHAWORDS

sach hai teri hi aarzu mujh ko — Dagh Dehlvi

HomeDagh DehlviGhazal
"sach hai teri hi aarzu mujh ko kahin jiine de yunhi tu mujh ko banda-e-nau-kharid huun har dam rakhiye aankhon ke ru-ba-ru mujh ko kal tak us ki talaash thi lekin aaj hai apni justuju mujh ko pahle vo thaa ki tum na the aagaah ab vo huun sun lo ku-ba-ku mujh ko vaan shikaayat pe vo hikaayat hai ki nahin jaa-e-guftugu mujh ko ai hayaat-e-do-rozaa le aai kin giraftaariyon mein tu mujh ko 'daagh' yaksu ho khush nahin aati naa-umidaana aarzu mujh ko"
Urdu

سچ ہے تیری ہی آرزو مجھ کو کہیں جینے دے یوں ہی تو مجھ کو بندۂ نو خرید ہوں ہر دم رکھیے آنکھوں کے رو بہ رو مجھ کو کل تک اس کی تلاش تھی لیکن آج ہے اپنی جستجو مجھ کو پہلے وہ تھا کہ تم نہ تھے آگاہ اب وہ ہوں سن لو کو بہ کو مجھ کو واں شکایت پہ وہ حکایت ہے کہ نہیں جائے گفتگو مجھ کو اے حیات دو روزہ لے آئی کن گرفتاریوں میں تو مجھ کو داغؔ یکسو ہو خوش نہیں آتی ناامیدانہ آرزو مجھ کو

Hindi

सच है तेरी ही आरज़ू मुझ को कहीं जीने दे यूँही तू मुझ को बंदा-ए-नौ-ख़रीद हूँ हर दम रखिए आँखों के रू-ब-रू मुझ को कल तक उस की तलाश थी लेकिन आज है अपनी जुस्तुजू मुझ को पहले वो था कि तुम न थे आगाह अब वो हूँ सुन लो कू-ब-कू मुझ को वाँ शिकायत पे वो हिकायत है कि नहीं जा-ए-गुफ़्तुगू मुझ को ऐ हयात-ए-दो-रोज़ा ले आई किन गिरफ़्तारियों में तू मुझ को 'दाग़' यकसू हो ख़ुश नहीं आती ना-उमीदाना आरज़ू मुझ को

sach hai terī hī aarzū mujh ko
Dagh Dehlvi
Dagh Dehlvi
Dagh Dehlvi
poet372 quotes

More by Dagh Dehlvi

View all →
Quote
"nafrat hai harf-e-vasl se achchhaa yuhin sahi lo aao aur baat suno vo nahin sahi chhoDungaa main na haath chale aao saath saath naazuk kalaai dukhti hai to aastin sahi mashq-e-jafaa ke vaaste kis ki talaash hai koi agar nahin hai to ye kam-tarin sahi iqraar kar ke ghurte ho kyon miri taraf baavar sahi yaqin sahi dil-nashin sahi bedaad kar ke chaahte ho phir jafaa ki daad behtar bajaa durust sahih aafrin sahi sajde hi karte jaaeinge ham teri raah mein hai naqsh-e-paa se aar to naqsh-e-jabin sahi be-dil-lagi bhi 'daagh' guzarni muhaal hai vo dil nahin sahi vo tamanna nahin sahi"
Dagh DehlviDagh Dehlvi
Quote
"kaafir vo zulf-e-pur-shikan ek is taraf ek us taraf phir us pe chashm-e-sehr-e-fan ek is taraf ek us taraf hangaam-e-rehlat dekhiye dil kis taraf apnaa jhuke baiThe hain shaikh-o-barhaman ek is taraf ek us taraf zulfon ki ye sargoshiyaan dil par balaaein laaeingi ghammaaz hai garm-e-sukhan ek is taraf ek us taraf ghairon kaa majmaa aur tum pariyon kaa jamghaT aur ham pahlu-ba-pahlu anjuman ek is taraf ek us taraf dil ek tanhaa biich mein aankhein tiri saffaak do shamshir-zan naavak-fagan ek is taraf ek us taraf main mar gayaa huun vasl mein raahat ho har pahlu mujhe takiye hon do zer-e-kafan ek is taraf ek us taraf tu aur dahne baaein hon lailaa-o-shirin bazm mein main aur qais-o-kohkan ek is taraf ek us taraf donon farishte dosh par kyaa likh sakein haalat miri aaluda-e-ranj-o-mehan ek is taraf ek us taraf rukhsaar tere sim-gun phir us pe gul-gune kaa rang phulaa hai kyaa rang-e-chaman ek is taraf ek us taraf itraa rahaa hai 'daagh' kyaa hangaam-e-gul-gasht-e-chaman rangin-qabaa gul-pairahan ek is taraf ek us taraf"
Dagh DehlviDagh Dehlvi
Quote
"tum aaina hi na har baar dekhte jaao miri taraf bhi to sarkaar dekhte jaao na jaao haal-e-dil-e-zaar dekhte jaao ki ji na chaahe to naa-chaar dekhte jaao bahaar-e-umr mein baagh-e-jahaan ki sair karo khilaa huaa hai ye gulzaar dekhte jaao yahi to chashm-e-haqiqat nigar kaa surma hai nizaa-e-kaafir-o-din-daar dekhte jaao uThaao aankh na sharmaao ye to mahfil hai ghazab se jaanib-e-aghyaar dekhte jaao nahin hai jins-e-vafaa ki tumhein jo qadr na ho baneinge kitne kharidaar dekhte jaao tumhein gharaz jo karo rahm paaemaalon par tum apni shokhi-e-raftaar dekhte jaao qasam bhi khaai thi quraan bhi uThaayaa thaa phir aaj hai vahi inkaar dekhte jaao ye shaamat aai ki us ki gali mein dil ne kahaa khulaa hai rauzan-e-divaar dekhte jaao huaa hai kyaa abhi hangaama aur kuchh hogaa fughaan mein hashr ke aasaar dekhte jaao shab-e-visaal adu ki yahi nishaani hai nishaan-e-bosa-e-rukhsaar dekhte jaao tumhaari aankh mire dil se le sabab be-vajh hui hai laDne ko tayyaar dekhte jaao idhar ko aa hi gae ab to hazrat-e-zaahid yahin hai khaana-e-khummaar dekhte jaao raqib barsar-e-parkhaash ham se hotaa hai baDhegi muft mein takraar dekhte jaao nahin hain jurm-e-mohabbat mein sab ke sab mulzim khataa muaaf khataa-vaar dekhte jaao dikhaa rahi hai tamaashaa falak ki nairangi nayaa hai shoabada har baar dekhte jaao banaa diyaa miri chaahat ne ghairat-e-yusuf tum apni garmi-e-baazaar dekhte jaao na jaao band kiye aankh rah-ravaan-e-adam idhar udhar bhi khabar-daar dekhte jaao suni-sunaai pe hargiz kabhi amal na karo hamaare haal ke akhbaar dekhte jaao koi na koi har ik sher mein hai baat zarur janaab-e-'daagh' ke ashaar dekhte jaao"
Dagh DehlviDagh Dehlvi