Shayari
ab yahi dukh hai hamin mein thi kami us mein na thi
us ko chaahaa thaa magar apni tarah chaahaa na thaa
use chhat par khaDe dekhaa thaa main ne
ki jis ke ghar kaa darvaaza nahin hai
اسے چھت پر کھڑے دیکھا تھا میں نے
کہ جس کے گھر کا دروازہ نہیں ہے
उसे छत पर खड़े देखा था मैं ने
कि जिस के घर का दरवाज़ा नहीं है

ab yahi dukh hai hamin mein thi kami us mein na thi
us ko chaahaa thaa magar apni tarah chaahaa na thaa
aisaa huaa ki ghar se na niklaa tamaam din
jaise ki khud se aaj koi kaam thaa mujhe
sabhi insaan farishte ho gae hain
kisi divaar mein saaya nahin hai
main band kamre ki majburiyon mein leTaa rahaa
pukaarti phiri baazaar mein havaa mujh ko
badan ke loch tak aazaad hai vo
use tahzib ne baandhaa nahin hai
daaera khinch ke baiThaa huun baDi muddat se
khud se niklun to kisi aur kaa rasta dekhun