Shayari
do-jahaan paane kaa aa raaz bataaun tujh ko
jaa kisi pyaar-bhare dil mein Thikaana kar le
F
Farhat Parveenjaisaa kal thaa aaj bhi vaisaa aur vaisaa hi ho gaa
aaj kaa karb uThaane mein main kal kaa dukh bhi sahti huun
جیسا کل تھا آج بھی ویسا اور ویسا ہی ہو گا
آج کا کرب اٹھانے میں میں کل کا دکھ بھی سہتی ہوں
जैसा कल था आज भी वैसा और वैसा ही हो गा
आज का कर्ब उठाने में मैं कल का दुख भी सहती हूँ
do-jahaan paane kaa aa raaz bataaun tujh ko
jaa kisi pyaar-bhare dil mein Thikaana kar le
yuun diyaa karte hain ham talkh-navaai kaa javaab
apne lahje mein zaraa aur bhi ras gholte hain
kyon bhed khule laachaari kaa ehsaan bhi lein dildaari kaa
aankhon ko nahin ham karte nam par dil mein samundar rakhte hain