Shayari
sukhan ke saare saliqe zabaan mein rakhtaa hai
nahin kaa aks nihaan apni haan mein rakkhaa hai
chor-saahib do adad TV uDaa kar le gae
ek apne vaaste aur ek thaane ke liye
چور صاحب دو عدد ٹی وی اڑا کر لے گئے
ایک اپنے واسطے اور ایک تھانے کے لیے
चोर-साहिब दो अदद टीवी उड़ा कर ले गए
एक अपने वास्ते और एक थाने के लिए

sukhan ke saare saliqe zabaan mein rakhtaa hai
nahin kaa aks nihaan apni haan mein rakkhaa hai
lekin kalaam kijiye mujh se adab ke saath
naukar huun koi aap kaa shauhar nahin huun main
vo degrē ki bajaae mam le kar lauT aayaa hai
milaa thaa daakhila jis ko samundar-paar college mein
miraa matlab mahine tak nahaane ki na ho fursat
to phir hafte ke hafte haath munh dhonaa zaruri hai
kuchh aise bhi paDhaaku panchhiyon ko ham ne dekhaa hai
ki par daftar mein panje shahr mein minqaar college mein
tamaam umr ganvaa di jise bhulaane mein
vo nisf maazi kaa qissa thaa nisf haal kaa thaa