Shayari
saat aasmaan ki sair hai pardon mein aankh ke
aankhein khulin to turfa tamaashaa nazar paDaa
M
Mazaq Badayunizabaan par aah rahi lab se lab kabhu na milaa
tiri talab to mili kyaa huaa jo tu na milaa
زباں پر آہ رہی لب سے لب کبھو نہ ملا
تری طلب تو ملی کیا ہوا جو تو نہ ملا
ज़बाँ पर आह रही लब से लब कभू न मिला
तिरी तलब तो मिली क्या हुआ जो तू न मिला
saat aasmaan ki sair hai pardon mein aankh ke
aankhein khulin to turfa tamaashaa nazar paDaa
ham se vahshi nahin hone ke giraftaar kabhi
log divaane hain zanjir liye phirte hain
vaaiz buton ke aage na furqaan nikaaliye
surat se un ki maani-e-quraan nikaaliye
nikal gayaa miri aankhon se misl-e-khvaa-o-khayaal
guzar gayaa dil-e-raushan se vo nazar ban kar