Shayari
tamaam raat tiraa intizaar hotaa rahaa
ye ek kaam yahi kaarobaar hotaa rahaa
chashma-e-naab na baDh kar junun sailaab bane
bah na jaae ki ye miTTi kaa makaan hai ab ke
چشمۂ ناب نہ بڑھ کر جنوں سیلاب بنے
بہہ نہ جائے کہ یہ مٹی کا مکاں ہے اب کے
चश्मा-ए-नाब न बढ़ कर जुनूँ सैलाब बने
बह न जाए कि ये मिट्टी का मकाँ है अब के

tamaam raat tiraa intizaar hotaa rahaa
ye ek kaam yahi kaarobaar hotaa rahaa
dil ko jalaae rakkhaa hai ham ne charaagh saa
is ghar mein ham hain aur tiraa intizaar hai
tum na the to yahaan pe koi na thaa
aaj kitne divaane baiThe hain
qalb-o-jigar ke daagh farozaan kiye hue
hain ham bhi ehtimaam-e-bahaaraan kiye hue
us kaa jalva dikhaai detaa hai
saare chehron pe sab kitaabon mein
tumhaare shahr mein kyuun aaj hu kaa aalam hai
sabaa idhar se guzar kar udhar gai ki nahin