Sher
"ham dil se rahe tez havaon ke mukhalif jab tham gaya tufan to qadam ghar se nikala"
"kahan bhaTakti phiregi andheri galiyon men ham ik charagh sar-e-kucha-e-hava rakh aa.e"
کہاں بھٹکتی پھرے گی اندھیری گلیوں میں ہم اک چراغ سر کوچۂ ہوا رکھ آئے
कहाँ भटकती फिरेगी अँधेरी गलियों में हम इक चराग़ सर-ए-कूचा-हवा रख आए

"ham dil se rahe tez havaon ke mukhalif jab tham gaya tufan to qadam ghar se nikala"
"paanv us ke bhi nahin uThte mire ghar ki taraf aur ab ke rasta badla hua mera bhi hai"
"yahi nahin ki kisi yaad ne malul kiya kabhi kabhi to yunhi be-sabab bhi ro.e hain"
"raat aati hai to taqon men jalate hain charagh khvab zinda hain so ankhon men jalate hain charagh"
"main ek ret ka paikar tha aur bikhar bhi gaya ajab tha khvab ki main khvab hi men Dar bhi gaya"
"dekh aa kar ki tire hijr men bhi zinda hain tujh se bichhDe the to lagta tha ki mar ja.enge"