Sher
"vo jaga kar ham ko sab khush-manzari le ja.ega khvab kya hai khvab ki tabir bhi le ja.ega"
M
Mahfuzur Rahman Adil"baat to jab hai fasl-e-junun men divane to divane ahl-e-khirad bhi raqs karen zanjiron ki jhankaron par"
بات تو جب ہے فصل جنوں میں دیوانے تو دیوانے اہل خرد بھی رقص کریں زنجیروں کی جھنکاروں پر
बात तो जब है फ़स्ल-ए-जुनूँ में दीवाने तो दीवाने अहल-ए-ख़िरद भी रक़्स करें ज़ंजीरों की झंकारों पर
"vo jaga kar ham ko sab khush-manzari le ja.ega khvab kya hai khvab ki tabir bhi le ja.ega"
"vaqt ki gardishon ka gham na karo hausle mushkilon men palte hain"
"samne maan ke jo hota huun to allah allah mujh ko mahsus ye hota hai ki bachcha huun abhi"
"mat baiTh ashiyan men paron ko sameT kar kar hausla kushada faza men uDaan ka"
"mera zahir dekhne vaale mira batin bhi dekh ghar ke bahar hai ujala ghar ke andar kuchh nahin"
"ek din vo zarron ko aftab kar lenge dhuup ke jo khvahan hain raat ke andhere men"