Sher
"nuuh baiThe hain charpa.i par charpa.i pe nuuh baiThe hain"
"dil ko tum shauq se le jaao magar yaad rahe ye na mera na tumhara na kisi ka hoga"
دل کو تم شوق سے لے جاؤ مگر یاد رہے یہ نہ میرا نہ تمہارا نہ کسی کا ہوگا
दिल को तुम शौक़ से ले जाओ मगर याद रहे ये न मेरा न तुम्हारा न किसी का होगा

"nuuh baiThe hain charpa.i par charpa.i pe nuuh baiThe hain"
"dil ke do hisse jo kar Daale the husn-o-ishq ne ek sahra ban gaya aur ek gulshan ho gaya"
"vo khuda.i kar rahe the jab khuda hone se qabl to khuda jaane karenge kya khuda hone ke ba.ad"
"kahin na un ki nazar se nazar kisi ki laDe vo is lihaz se ankhen jhuka.e baiThe hain"
"laila hai na majnun hai na shirin hai na farhad ab rah ga.e hain ashiq o ma.ashuq men ham aap"
"aate aate raah par vo a.enge jaate jaate bad-gumani ja.egi"