Sher
"kahani phail rahi hai usi ke charon taraf nikalna tha jise dastan ke andar se"
"mera ye dukh ki main sikka huun ga.e vaqton ka tera ho kar bhi tire kaam nahin aa sakta"
میرا یہ دکھ کہ میں سکہ ہوں گئے وقتوں کا تیرا ہو کر بھی ترے کام نہیں آ سکتا
मेरा ये दुख कि मैं सिक्का हूँ गए वक़्तों का तेरा हो कर भी तिरे काम नहीं आ सकता

"kahani phail rahi hai usi ke charon taraf nikalna tha jise dastan ke andar se"
"apni masti ki tire qurb ki sarshari men ab main kuchh aur bhi asan huun dushvari men"
"tire makan ka taqaddus aziiz tha itna main aa raha huun gali se pare utaar ke paanv"
"khala men tairte phirte hain haath pakDe hue zamin ki ek sadi ek saal suraj ka"
"main de raha huun tujhe khud se ikhtilaf ka haq ye ikhtilaf ka haq hai mukhalifat ka nahin"
"us ke kamre se uTha laaya huun yaden apni khud paDa rah gaya lekin kisi almari men"