Sher
"siina figar chak-gareban kafan-ba-dosh aa.e hain teri bazm men is bankpan se ham"
"teri be-pardagi hi husn ka parda nikli kaam kuchh kar ga.i har haal men ghaflat meri"
تیری بے پردگی ہی حسن کا پردہ نکلی کام کچھ کر گئی ہر حال میں غفلت میری
तेरी बे-पर्दगी ही हुस्न का पर्दा निकली काम कुछ कर गई हर हाल में ग़फ़लत मेरी

"siina figar chak-gareban kafan-ba-dosh aa.e hain teri bazm men is bankpan se ham"
"har vaqt ki ah-o-zari se dam bhar to zara milti fursat rona hi muqaddar tha mera to kis liye main shabnam na hua"
"vo lamha ziist ka la.anat hai aadmi ke liye jhuke jo sar kahin iz.har-e-bandagi ke liye"
"al-madad ai jazba-e-zauq-e-mohabbat al-madad ishq ne avaz di be-ikhtiyarana mujhe"
"dimagh ko kar raha huun raushan main dagh-e-dil ke jala raha huun ab apni tarik zindagi ka naya sarapa bana raha huun"
"kya lutf hai aise jiine ka jis ki na kisi ko parva ho kis kaam ka marna vo marna jis ka ki kisi ko gham na hua"