Sher
"zara sambhalun bhi to vo ankhon se pila deta hai mera mahbub mujhe hosh men rahne nahin deta"
"aaj ki raat mujhe hosh men rahne do abhi aaj ki raat koi ankhon se pila.ega mujhe"
آج کی رات مجھے ہوش میں رہنے دو ابھی آج کی رات کوئی آنکھوں سے پلائے گا مجھے
आज की रात मुझे होश में रहने दो अभी आज की रात कोई आँखों से पिलाएगा मुझे

"zara sambhalun bhi to vo ankhon se pila deta hai mera mahbub mujhe hosh men rahne nahin deta"
"zaban khamosh magar nazron men ujala dekha us ka iz.har-e-mohabbat bhi nirala dekha"
"yuun achanak na zulfen bikhera karo dil to nadan hai bahak bhi sakta hai"
"is qadar TuuT kar meri nazron men na dekho varna tumhari nazron ko meri nazron ki nazar na lag jaa.e"
"nadan mera dil bahak jaa.e na kahin shanon pe gesuon ko bikhera na kijiye"
"maza to ishq ka tab hai ki ek pal ko sahi jhuki nazar vo uTha den aur main salam karun"