Sher
"har gham sahna aur khush rahna mushkil hai asan nahin hai"
"khushi daman-kashan hai dil asir-e-gham hai barson se hamari zindagi ka ek hi aalam hai barson se"
خوشی دامن کشاں ہے دل اسیر غم ہے برسوں سے ہماری زندگی کا ایک ہی عالم ہے برسوں سے
ख़ुशी दामन-कशाँ है दिल असीर-ए-ग़म है बरसों से हमारी ज़िंदगी का एक ही आलम है बरसों से

"har gham sahna aur khush rahna mushkil hai asan nahin hai"
"ab ke 'vaqar' aise bichhDe hain milne ka imkan nahin hai"
"in ansuon se bhala mera kya bhala hoga vo mere baa'd jo roya bhi yaad kar ke mujhe"
"kahan milegi bhala is sitamgari ki misal taras bhi khata hai mujh par tabah kar ke mujhe"
"bahut se gham chhupe honge hansi men zara in hansne valon ko TaTolo"
"hamari zindagi kahne ki had tak zindagi hai bas ye shiraza bhi dekha jaa.e to barham hai barson se"