Quote
"kal talak the jo khuub saaya-daar aaj khud jal rahe hain vo ashjaar aao ham bhi kharid lein chal kar lag rahaa hai khulus kaa baazaar apne chehre chhupaa ke bhaag chalo aainon se fuzul hai takraar phir koi haadisa huaa shaayad bik rahe hain gali gali akhbaar jab bhi dekhun unhein ye lagtaa hai jaise dekhaa ho aaj pahli baar shaaeri mein sameT lo 'taabish' zindagi ke nae nae afkaar"
E
Ejaz Tabish