SHAWORDS
🌿
زندگی

Zindagi

Reflections on life, its beauty, struggles, and meaning.

20,008+ entries
Quote
"kyaa hasin raat hai is raat se Darte kyuun ho aa gae ho to mulaaqaat se Darte kyuun ho naam aataa hai miraa jab bhi kisi mahfil mein ye bataao ki savaalaat se Darte kyuun ho dil lubhaane ke bhi andaaz huaa karte hain mast aankhon ke ishaaraat se Darte kyuun ho kai barsaat ke mausam hain miri aankhon mein aati jaati hui barsaat se Darte kyuun ho log achchhon ko bhi duniyaa mein buraa kahte hain kyaa kahegaa koi is baat se Darte kyuun ho zindagi milti hai insaan ko jiine ke liye muskuraate raho sadmaat se Darte kyuun ho zikr-e-maazi ke tasavvur se pareshaan ho kar zinda rahnaa hai to haalaat se Darte kyuun ho"
Akhtar AzadAkhtar Azad
Quote
"mauj-e-shamim hain na khiraam-e-sabaa hain ham Thahri hui gulon ke labon par duaa hain ham begaana khalq se hain na tujh se khafaa hain ham ai zindagi muaaf ki dair-aashnaa hain ham is raaz ko bhi faash kar ai chashm-e-dil-navaaz kaanTaa khaTak rahaa hai ye dil mein ki kyaa hain ham yaarab tiraa kamaal-e-hunar ham pe khatm hai yaa sirf mashq-e-naaz kaa ik tajraba hain ham aakhir tire suluk ne jhuTlaa diyaa ise ik zoam thaa hamin ki saraapaa vafaa hain ham kal is zamin pe utreinge phulon ke qaafile ik paikar-e-bahaar ki aavaaz-e-paa hain ham"
Akhtar Saeed KhanAkhtar Saeed Khan
Quote
"dil bahalne ke vasile de gayaa vo apni yaadon ke khilaune de gayaa vo ham-sukhan tanhaaiyon mein koi to ho suune suune se dariche de gayaa vo le gayaa meri khudi meri anaa bhi ai jabin-e-shauq sajde de gayaa vo ranj-o-gham sahne ki aadat ho gai hai zinda rahne ke saliqe de gayaa vo meri himmat jaantaa thaa is liye bhi Dubne vaale safine de gayaa vo zindagi bhar joDte rahnaa hai in ko TuuTi zanjiron se rishte de gayaa vo zar-fishaan har lafz zarrin har varaq hai 'akhtar' aise kuchh sahife de gayaa vo"
Akhtar ShahjahanpuriAkhtar Shahjahanpuri
Quote
"kisi ko chhoD detaa huun kisi ke saath chaltaa huun main chaltaa huun to phir vaabastagi ke saath chaltaa huun sitaare baanTne vaale kisi pal lauT aaeinge chalo kuchh der yunhi tirgi ke saath chaltaa huun mujhe ye kyaa paDi hai kaun meraa ham-safar hogaa havaa ke saath gaataa huun nadi ke saath chaltaa huun vo kahte hain zamaana tez hai lambi masaafat hai mohabbat kaa sitaaraa huun sabhi ke saath chaltaa huun badalte mausamon kaa khvaab huun kitne zamaanon se yahaan main kaarvaan-e-zindagi ke saath chaltaa huun manaazir rok lete hain mire uThte qadam 'ahmad' zaraa saa bhi agar begaanagi ke saath chaltaa huun"
Ahmad RizwanAhmad Rizwan
Quote
"tu judaa huaa jo mujh se mire khvaab jal gae the miri raat bujh gai thi ki diye badal gae the tire lams ki badaulat mire jism-o-jaan the raushan tiri zaat ke ujaale mire dil mein Dhal gae the jahaan zindagi luTi hai jahaan dafn hai tamanna usi sang-dil gali mein yunhi kal nikal gae the tujhe sochne kaa lamha koi phuul jaise mahke tiri yaad jaise ghar mein kai diip jal gae the mujhe yaad hai abhi tak vo tapish tire labon ki unhein jab chhuaa thaa main ne mire haath jal gae the vahi rahguzar thi ghaaeb bhalaa kaise lauT paate tiri justuju mein jaanaan jahaan ham nikal gae the"
I
Irfan Jafari
Quote
"vo hasin jalva-ba-dosh hai koi parda hai na naqaab hai tiraa parda hai tiri pardagi ye hijaab teraa hijaab hai tiri chashm-e-mast ke daur mein koi jaam jaam-e-sharaab hai jo hai ahl-e-did vo mast hai jo hai ahl-e-dil vo kharaab hai jo taqaazaa thaa to vo tuur thaa jo talab thi to vo zuhur thaa na taqaazaa hai na talab hai ab na savaal hai na javaab hai ise saath le chalo rahbaro ki zaraa nai hai rah-e-adam ye savaar-e-umr-e-ravaan miraa sar-e-raah paa-ba-rikaab hai use khel samjhaa to bach rahaa na samajh sakaa to ulajh gayaa use aankh khol ke dekhnaa tiri zindagi kaa ye khvaab hai na hai khauf ahl-e-kitaab se na hiraas ahl-e-hisaab se vo karam hai mere karim kaa na hisaab hai na kitaab hai kisi ilm se na ise gharaz na kisi adab se hai vaasta tiraa dard jis kaa hisaab hai tiraa husn jis ki kitaab hai dil-e-pur-havas tujhe sair-e-hasti-e-be-sukun ki majaal kyaa ki misaal-e-mauj-e-ravaan hai ye tiri chashm chashm-e-habaab hai na ulajh numaaish-e-dahr ke kabhi daam-e-naqsh-o-nigaar mein jo nigaar hai vo parida hai jo hai naqsh naqsh-bar-aab hai vahi nuur jis se hain nuur nuur hazaaron nayyar-o-mehr-o-maah jo usi ke saae mein aa gayaa faqat us ko diid ki taab hai ba-khulus 'aiman'-e-be-navaa usi aastaan pe jabin jhukaa koi be-muraad nahin gayaa shah-e-do-jahaan ki janaab hai"
A
Aiman Amritsari
Quote
"azal se be-sabaati kaa gila thaa magar insaan khud kam-hausla thaa jise samjhe samundar ki ravaani sabil-e-zindagi kaa bulbula thaa ajab si thi masaafat tirgi ki chalaa thaa gir paDaa thaa phir chalaa thaa har ik lamha rifaaqat kaa hamaari dhanak ke saat rangon se sajaa thaa tavaazun thaa zaruri zindagi mein talavvun kaa magar apnaa mazaa thaa khaDaa thaa main pashemaan phir vahin par jahaan se laghzishon kaa silsila thaa kabhi sochaa bhi 'aadil' kyuun milaa sab huaa haasil vahi jo de chukaa thaa"
Ahmad AdilAhmad Adil
Quote
"tumhaari aankhon mein gar nami hai to zindagi hai jo zindagi mein koi kami hai to zindagi hai sukut taari jo ho gayaa to tamaam-shud hai koi khamoshi jo bolti hai to zindagi hai koi khayaal aur khvaab na ho to ik khalaa hai ki soch paagal bhaTak rahi hai to zindagi hai vo choT jo ki kisi ko ghaayal kiye hue hai tumhaare dil par agar lagi hai to zindagi hai tamaam haasil to zinda rahnaa nahin gavaaraa kahin zaraa si bhi tishnagi hai to zindagi hai jo moD aage paDaa huaa hai vo jaa ke dekho vahaan nai raah gar bani hai to zindagi hai main roz khud se jhagaD ke khud ko manaa rahi huun haan meri mujh se Thani hui hai to zindagi hai"
Aireen FarhatAireen Farhat
Quote
"abhi uD kar bulandi se giraa thaa parinda shaakh par sahmaa huaa thaa churaae jaa rahaa thaa mujh se nazrein yaqinan vo mujhe pahchaantaa thaa mohabbat mein jo guzri dil pe mere use kuchh dil hi meraa jaantaa thaa falak-bosi mayassar aa gai hai magar kyaa khaaksaari mein maza thaa hamin sab faisle karte the apne hamaari manzilein thiin raasta thaa ab aaina nahin ham dekhte hain kabhi chehra hamaaraa phuul saa thaa tavaqqo' uTh gai thi zindagi se mu'aalij bhi miraa sahmaa huaa thaa vaqaar ab kuchh nahin baaqi hai 'faaruq' kabhi kirdaar apnaa aaina thaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"junun ke dam se aakhir martaba kaisaa milaa mujh ko abhi farhaad-o-qais aae the kahne marhabaa mujh ko kisi surat bhi rad hotaa nahin ye faisla dil kaa nazar aataa nahin koi bhi tujh saa dusraa mujh ko sar-e-kunj-e-tamannaa phir khushi se gungunaaungaa agar vo lauT kar aae to phir tum dekhnaa mujh ko na jaan-e-rashk se ghusse se gham se yaa raqaabat se ye kis andaaz se taktaa hai teraa aaina mujh ko khule to sab zamaanon ke khazaane haath aa jaaein dar-e-iqlim-e-haft-aalam hai vo band-e-qabaa mujh ko gumaan mein bhi gumaan lagti hai ab to zindagi meri nazar aataa hai ab vo khvaab mein bhi khvaab saa mujh ko kasaafat baar paa sakti nahin aisi lataafat mein karam us kaa ki bakhshaa dil ke badle aabla mujh ko sabaa meri qadam-bosi se pahle gul na dekhegi agar vahshat ne kuchh din baagh mein rahne diyaa mujh ko na nikli aaj gar koi yahaan yakjaai ki surat to kal se DhunDte phirnaa jahaan mein jaa-ba-jaa mujh ko guzargaah-e-nafas mein huun misaal-e-barg-e-aavaara koi dam mein uDaa le jaaegi baad-e-fanaa mujh ko vo dil-aavez aankhein vo lab-o-rukhsaar vo zulfein nahin ab dekhnaa kuchh bhi nahin us ke sivaa mujh ko azal se taa-abad duniyaa se le kar aasmaanon tak nazar aataa hai teri hi nazar kaa silsila mujh ko mire hone se hi kuchh e'tibaar us kaa bhi qaaem hai junun tum se nimaT legaa jo divaana kahaa mujh ko koi 'irfaan' mujh mein se mujhe aavaaz detaa hai are tu sochtaa kyaa hai kabhi kuchh to bataa mujh ko"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"buDhe bargad pe shaam ho gai hai ek duniyaa tamaam ho gai hai paD gayaa hai udaasiyon kaa rivaaj jis ki khilqat ghulaam ho gai hai us gale ke baTan khule do tiin raushni be-niyaam ho gai hai ham ravayyon pe kaam kar na sake aaj takhrib aam ho gai hai din bitaayaa thaa fikr-e-fardaa mein raat maazi ke naam ho gai hai us gali mein qiyaam hai meraa be-ghari be-maqaam ho gai hai us ke chhune se bhi haraa na huaa ye khizaani davaam ho gai hai aab-zaaron pe jam gai kaai zindagi tishna-kaam ho gai hai saans aahista chal rahi hai 'munir' maut kyon tez-gaam ho gai hai"
Muneer JafriMuneer Jafri
Quote
"yuun samaayaa hai ki ab sar se nikalne kaa nahin main jo chaahun bhi to ik Dar se nikalne kaa nahin main ne jo khauf piroyaa thaa ragon mein apni aisaa baiThaa hai ki andar se nikalne kaa nahin baa'd koshish ke natija ye nikaalaa main ne zindagi main tire chakkar se nikalne kaa nahin khinch laate hain haqiqat mein havaadis varna aadmi khvaab ke mehvar se nikalne kaa nahin sar paTakhtaa nahin pinjre mein parinda yunhi shauq-e-parvaaz kabhi par se nikalne kaa nahin ik saDak aur miraa aaTHvaan dasvaan chakkar aur mujhe 'ilm hai vo ghar se nikalne kaa nahin apne andar yuun chhupaae hain sanam patthar ne but koi tesha-e-aazar se nikalne kaa nahin gham-e-dauraan bhi hai yuun jaise miraa yaum-e-hisaab main to duniyaa mein bhi mahshar se nikalne kaa nahin dhauns detaa hai ye suraj mujhe har shaam 'hasan' vo jo Duubaa to samundar se nikalne kaa nahin"
Ehtisham HasanEhtisham Hasan
Quote
"tamaam umr jale aur raushni nahin ki ye zindagi hai to phir ham ne zindagi nahin ki sitam to ye hai ki mere khilaaf bolte hain vo log jin se kabhi main ne baat bhi nahin ki jo dil mein aataa gayaa sidq-e-dil se likhtaa gayaa duaaein maangi hain main ne to shaaeri nahin ki bas itnaa hai ki miraa bakht Dhal gayaa aur phir mire charaagh ne bhi mujh pe raushni nahin ki miri sipaah se duniyaa larazne lagti hai magar tumhaari to main ne baraabari nahin ki kuchh is liye bhi akelaa saa ho gayaa huun 'nadim' sabhi ko dost banaayaa hai dushmani nahin ki"
Nadeem BhabhaNadeem Bhabha
Quote
"aap kaa jis raaste mein naqsh-e-paa mil jaaegaa taalib-e-manzil ko manzil kaa pata mil jaaegaa jaante ho tum se mil kar kis ko kyaa mil jaaegaa zindagi mil jaaegi aur muddaaa mil jaaegaa aap ki dariyaa-dili par naaz farmaaeinge ham jab hamein apni mohabbat kaa sila mil jaaegaa mushkilein hasti ki apni kam se kam ho jaaeingi doston jis din hamein apnaa pata mil jaaegaa shaakh-e-gul kuchh is tarah katri gai hain dosto agle mausam mein koi pattaa haraa mil jaaegaa us ko paane ke liye khud ko lagaao dosto DhunDne se aap ko be-shak khudaa mil jaaegaa aap ko vo bhuul jaaeinge zamaane ki tarah jab unhein 'mahmud' koi dusraa mil jaaegaa"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"chaand ko chaand ke ru-baru kar liyaa phir tumhein shaamil-e-guftugu kar liyaa ik 'ibaadat adhuri paDi thi miri yaad karte hi tum ko vuzu kar liyaa phunk kar zindagi 'ishq ki aag mein dard apnaa 'ayaan chaar-su kar liyaa soz-e-dil dekh apne tu divaane kaa kis tarah khud ko be-aabru kar liyaa kar liyaa zabt bhi ho gayaa sabr bhi zakhm jo bhi milaa vo rafu kar liyaa raat thi chaandni jaam thaa haath mein khud-kalaami mein apnaa lahu kar liyaa log 'aatir' tujhe dekhte rah gae imtihaan ziist kaa surkh-ru kar liyaa"
Niyaz Ahmad AatirNiyaz Ahmad Aatir