Quote
"baar baar ek hi nazzaara na dikhlaayaa kar baat dilkash bhi agar ho to na dohraayaa kar log gir jaate hain miTTi ke gharondon ki tarah is tarah baarish-e-didaar na barsaayaa kar peD kaa saayaa nahin TuuTaa huaa patta huun mujh ko jazbaat ke dariyaa mein na Thahraayaa kar TuuT jaae na kisi roz tiraa shish-mahal yuun sar-e-raah na divaanon ko samjhaayaa kar mere ehsaas ko ik phuul bahut hai 'khaavar' mere ehsaas pe yuun sang na barsaayaa kar"
