SHAWORDS

usi ek pal ki talaash hai — Khursheed Rizvi

"usi ek pal ki talaash hai shab-o-roz mein mah-o-saal mein vo kahin bhi mujh ko milaa nahin na firaaq mein na visaal mein jo kaho to jaal sameT luun faqat ek mauj hai jaal mein use kyaa khabar ki main khvaab huun vo jo gham hai mere khayaal mein main taraashtaa to rahaa sanam ki rahun jahaan-e-misaal mein vo jo pattharon mein namak saa thaa nahin aa sakaa khad-o-khaal mein"
Urdu

اسی ایک پل کی تلاش ہے شب و روز میں مہ و سال میں وہ کہیں بھی مجھ کو ملا نہیں نہ فراق میں نہ وصال میں جو کہو تو جال سمیٹ لوں فقط ایک موج ہے جال میں اسے کیا خبر کہ میں خواب ہوں وہ جو غم ہے میرے خیال میں میں تراشتا تو رہا صنم کہ رہوں جہان مثال میں وہ جو پتھروں میں نمک سا تھا نہیں آ سکا خد و خال میں

Hindi

उसी एक पल की तलाश है शब-ओ-रोज़ में मह-ओ-साल में वो कहीं भी मुझ को मिला नहीं न फ़िराक़ में न विसाल में जो कहो तो जाल समेट लूँ फ़क़त एक मौज है जाल में उसे क्या ख़बर कि मैं ख़्वाब हूँ वो जो ग़म है मेरे ख़याल में मैं तराशता तो रहा सनम कि रहूँ जहान-ए-मिसाल में वो जो पत्थरों में नमक सा था नहीं आ सका ख़द-ओ-ख़ाल में

usī ek pal kī talāsh hai
Khursheed Rizvi
Khursheed Rizvi
Khursheed Rizvi
poet91 quotes

More by Khursheed Rizvi

View all →
Quote
"miltaa hi nahin dard kaa paikar koi mujh saa aaine mein ik shakhs hai kamtar koi mujh saa imaan bhi tanhaa hai miraa kufr bhi tanhaa momin koi mujh saa hai na kaafir koi mujh saa hai kaun jo is abr ke parde mein ravaan hai divaana hai divaana saraasar koi mujh saa kohsaar ke daaman mein milaataa hai nihaan kaun aavaaz se aavaaz baraabar koi mujh saa lene nahin detaa kisi karvaT mujhe aaraam ik shakhs haTilaa mire andar koi mujh saa main TuTtaa taaraa huun nazar mujh se milaa lo phir kaahe ko dekhoge mukarrar koi mujh saa aaina huun aur chehra-e-'khurshid' pe vaa huun hogaa kahin qismat kaa sikandar koi mujh saa"
Khursheed RizviKhursheed Rizvi
Quote
"bisaat-e-vaqt pe sadiyon ke faasle ham log kanaar-e-shaam-o-sahar mein kahaan Dhale ham log na kaarvaan na musaafir magar jaras na thami na raushni na haraarat magar jale ham log maqaam jin kaa muarrikh ke haafize mein nahin shikast o fath ke maabain marhale ham log numud-e-jism ki shorida khvaahishein duniyaa fishaar-e-ruh ke naadida valvale ham log na jaane kab koi karvaT hamein jagaa Daale zamin ke batn mein khvaabida zalzale ham log fasaad-e-koh-kani hila-haa-e-parvezi hazaar rang ke kaanTon mein aable ham log amir-e-shahr ki moTi samajh mein kyaa aate zamir-e-dahr ke naazuk muaamle ham log hujum-e-sang-e-aziyyat mein sar jhukaae hue ravaan hain le ke mashiyyat ke qaafile ham log zabaan-burida o be-dast-o-paa sahi lekin zamir-e-kaun-o-makaan hain bure bhale ham log"
Khursheed RizviKhursheed Rizvi
Quote
"abru-e-abr se kartaa hai ishaara mujh ko jhalak us aankh ki dikhlaa ke sitaara mujh ko huun main vo shama sar-e-taaq jalaa kar sar-e-shaam bhuul jaataa hai miraa anjuman-aaraa mujh ko raaegaan vusat-e-viraan mein ye khilte hue phuul un ko dekhun to ye dete hain sahaaraa mujh ko meri hasti hai faqat mauj-e-havaa naqsh-e-habaab koi dam aur karein aap gavaaraa mujh ko daam phailaati rahi sud-o-ziyaan ki ye bisaat haan magar mere junun ne nahin haaraa mujh ko kuchh shab-o-roz-o-mah-o-saal guzar kar mujh par vaqt ne taa-ba-abad khud pe guzaaraa mujh ko mauj-e-be-taab huun main mere anaasir hain kuchh aur chaahiye sohbat-e-saahil se kinaaraa mujh ko rizq se mere mire dil ko hai ranjish 'khurshid' aasmaanon se zaminon pe utaaraa mujh ko"
Khursheed RizviKhursheed Rizvi
Quote
"lab se dil kaa dil se lab kaa raabta koi nahin hasratein hi hasratein hain muddaaa koi nahin harf-e-gham-e-naa-paid hai aankhon mein nam naapaid hai dard kaa sail-e-ravaan hai raastaa koi nahin apne man kaa aks hai apni sadaa ki baazgasht dost dushman aashnaa naa-aashnaa koi nahin sab ke sab apne garebaanon mein hain Duube hue gul se gul tak rishta-e-mauj-e-sabaa koi nahin haal-e-zaar aisaa ki dekhe se taras aane lage sang-dil itne ki honTon par duaa koi nahin kyaa koi raakib nahin ham mein samand-e-vaqt kaa naqsh-e-paa sab hain to kyaa zanjir-e-paa koi nahin main to aaina huun sab ki shakl kaa aaina-daar bazm mein lekin mujhe pahchaantaa koi nahin dil ke Duube se miTi dast-e-shanaavar ki sakat mauj ki tughyaaniyon se Dubtaa koi nahin aankh michoge to kaanon se guzar aaegaa husn sail ko divaar-o-dar se vaasta koi nahin arsh ki chaahat ho yaa paataal kaa shauq-e-safar ibtidaa ki der hai phir intihaa koi nahin kaarvaan 'khurshid' jaane kis guphaa mein kho gayaa raushni kaisi ki sahraa mein sadaa koi nahin"
Khursheed RizviKhursheed Rizvi