Shayari
khincho na kamaanon ko na talvaar nikaalo
jab top muqaabil ho to akhbaar nikaalo
main huun kyaa chiiz jo us tarz pe jaaun 'akbar'
'naasikh' o 'zauq' bhi jab chal na sake 'mir' ke saath
میں ہوں کیا چیز جو اس طرز پہ جاؤں اکبرؔ
ناسخؔ و ذوقؔ بھی جب چل نہ سکے میرؔ کے ساتھ
मैं हूँ क्या चीज़ जो उस तर्ज़ पे जाऊँ 'अकबर'
'नासिख़' ओ 'ज़ौक़' भी जब चल न सके 'मीर' के साथ

khincho na kamaanon ko na talvaar nikaalo
jab top muqaabil ho to akhbaar nikaalo
log kahte hain badaltaa hai zamaana sab ko
mard vo hain jo zamaane ko badal dete hain
ham aisi kul kitaabein qaabil-e-zabti samajhte hain
ki jin ko paDh ke laDke baap ko khabti samajhte hain
shaikh apni rag ko kyaa karein reshe ko kyaa karein
mazhab ke jhagDe chhoDein to peshe ko kyaa karein
jis taraf uTh gai hain aahein hain
chashm-e-bad-dur kyaa nigaahein hain
hayaa se sar jhukaa lenaa adaa se muskuraa denaa
hasinon ko bhi kitnaa sahl hai bijli giraa denaa