Shayari
kisi darakht se sikho saliqa jiine kaa
jo dhuup chhaanv se rishta banaae rahtaa hai
ajab khulus ajab saadgi se kartaa hai
darakht neki baDi khaamushi se kartaa hai
عجب خلوص عجب سادگی سے کرتا ہے
درخت نیکی بڑی خامشی سے کرتا ہے
अजब ख़ुलूस अजब सादगी से करता है
दरख़्त नेकी बड़ी ख़ामुशी से करता है

kisi darakht se sikho saliqa jiine kaa
jo dhuup chhaanv se rishta banaae rahtaa hai
patton ko chhoD detaa hai aksar khizaan ke vaqt
khud-gharzi hi kuchh aisi yahaan har shajar mein hai
jab ghazal 'mir' ki paDhtaa hai paDosi meraa
ik nami si miri divaar mein aa jaati hai
safar ho shaah kaa yaa qaafila faqiron kaa
shajar mizaaj samajhte hain raahgiron kaa
ye rahbar aaj bhi kitne puraane lagte hain
ki peD duur se rasta dikhaane lagte hain
ajnabi tum kabhi na paaoge
martaba jo ghazal mein 'mir' kaa hai