Shayari
is liye main ne muhaafiz nahin rakkhe apne
mire dushman mire is jism se baahar kam hain
ek lamhe ko sahi us ne mujhe dekhaa to hai
aaj kaa mausam guzishta roz se achchhaa to hai
ایک لمحے کو سہی اس نے مجھے دیکھا تو ہے
آج کا موسم گزشتہ روز سے اچھا تو ہے
एक लम्हे को सही उस ने मुझे देखा तो है
आज का मौसम गुज़िश्ता रोज़ से अच्छा तो है

is liye main ne muhaafiz nahin rakkhe apne
mire dushman mire is jism se baahar kam hain
ai shahr-e-sitam chhoD ke jaate hue logo
ab raah mein koi bhi madina nahin aataa
usi ne sab se pahle haar maani
vahi sab se dilaavar lag rahaa thaa
der lagti hai bahut lauT ke aate aate
aur vo itne mein hamein bhuul chukaa hotaa hai
ham ne ghar ki salaamti ke liye
khud ko ghar se nikaal rakkhaa hai
hamaare naam ki takhti bhi un pe lag na saki
lahu mein gundh ke miTTi jo ghar banaae gae