Shayari
der lagti hai bahut lauT ke aate aate
aur vo itne mein hamein bhuul chukaa hotaa hai
havaa ko zid ki uDaaegi dhuul har surat
hamein ye dhun hai ki aaina saaf karnaa hai
ہوا کو ضد کہ اڑائے گی دھول ہر صورت
ہمیں یہ دھن ہے کہ آئینہ صاف کرنا ہے
हवा को ज़िद कि उड़ाएगी धूल हर सूरत
हमें ये धुन है कि आईना साफ़ करना है

der lagti hai bahut lauT ke aate aate
aur vo itne mein hamein bhuul chukaa hotaa hai
ham ne ghar ki salaamti ke liye
khud ko ghar se nikaal rakkhaa hai
tu apni marzi ke sabhi kirdaar aazmaa le
mire baghair ab tiri kahaani nahin chalegi
ham un ki aas pe umrein guzaar dete hain
vo moajize jo kabhi runumaa nahin hote
lahje aur aavaaz mein rakkhaa jaataa hai
ab to zahr alfaaz mein rakkhaa jaataa hai
usi ne sab se pahle haar maani
vahi sab se dilaavar lag rahaa thaa