Shayari
is liye main ne muhaafiz nahin rakkhe apne
mire dushman mire is jism se baahar kam hain
mere hare vajud se pahchaan us ki thi
be-chehra ho gayaa hai vo jab se jhaDaa huun main
میرے ہرے وجود سے پہچان اس کی تھی
بے چہرہ ہو گیا ہے وہ جب سے جھڑا ہوں میں
मेरे हरे वजूद से पहचान उस की थी
बे-चेहरा हो गया है वो जब से झड़ा हूँ मैं

is liye main ne muhaafiz nahin rakkhe apne
mire dushman mire is jism se baahar kam hain
ai shahr-e-sitam chhoD ke jaate hue logo
ab raah mein koi bhi madina nahin aataa
usi ne sab se pahle haar maani
vahi sab se dilaavar lag rahaa thaa
der lagti hai bahut lauT ke aate aate
aur vo itne mein hamein bhuul chukaa hotaa hai
ham ne ghar ki salaamti ke liye
khud ko ghar se nikaal rakkhaa hai
hamaare naam ki takhti bhi un pe lag na saki
lahu mein gundh ke miTTi jo ghar banaae gae