Shayari
is liye main ne muhaafiz nahin rakkhe apne
mire dushman mire is jism se baahar kam hain
ye shakhs jo tujhe aadhaa dikhaai detaa hai
is aadhe shakhs ko apnaa banaa ke dekh kabhi
یہ شخص جو تجھے آدھا دکھائی دیتا ہے
اس آدھے شخص کو اپنا بنا کے دیکھ کبھی
ये शख़्स जो तुझे आधा दिखाई देता है
इस आधे शख़्स को अपना बना के देख कभी

is liye main ne muhaafiz nahin rakkhe apne
mire dushman mire is jism se baahar kam hain
ai shahr-e-sitam chhoD ke jaate hue logo
ab raah mein koi bhi madina nahin aataa
usi ne sab se pahle haar maani
vahi sab se dilaavar lag rahaa thaa
der lagti hai bahut lauT ke aate aate
aur vo itne mein hamein bhuul chukaa hotaa hai
ham ne ghar ki salaamti ke liye
khud ko ghar se nikaal rakkhaa hai
hamaare naam ki takhti bhi un pe lag na saki
lahu mein gundh ke miTTi jo ghar banaae gae