Shayari
ghuTan si hone lagi us ke paas jaate hue
main khud se ruuTh gayaa huun use manaate hue
har ek samt yahaan vahshaton kaa maskan hai
junun ke vaaste sahraa o aashiyaana kyaa
ہر ایک سمت یہاں وحشتوں کا مسکن ہے
جنوں کے واسطے صحرا و آشیانہ کیا
हर एक सम्त यहाँ वहशतों का मस्कन है
जुनूँ के वास्ते सहरा ओ आशियाना क्या

ghuTan si hone lagi us ke paas jaate hue
main khud se ruuTh gayaa huun use manaate hue
ye kaifiyat hai meri jaan ab tujhe kho kar
ki ham ne khud ko bhi paayaa nahin bahut din se
ye pahlaa ishq hai tumhaaraa soch lo
mire liye ye raastaa nayaa nahin
har ek shakhs yahaan mahv-e-khvaab lagtaa hai
kisi ne ham ko jagaayaa nahin bahut din se
hai ab bhi bistar-e-jaan par tire badan ki shikan
main khud hi miTne lagaa huun use miTaate hue
ek muddat se hain safar mein ham
ghar mein rah kar bhi jaise beghar se