Shayari
vo saaDi jewellery ke tahaaif pe thi ba-zid
ham sau ruupe ki shaal se aage nahin gae
ye diyaa message twēter par fasaadi shakhs ne
us ko jalti ke liye fil-faur oil chaahiye
یہ دیا میسج ٹوئیٹر پر فسادی شخص نے
اس کو جلتی کے لیے فی الفور آئل چاہیئے
ये दिया मैसेज ट्वीटर पर फ़सादी शख़्स ने
उस को जलती के लिए फ़िल-फ़ौर ऑइल चाहिए

vo saaDi jewellery ke tahaaif pe thi ba-zid
ham sau ruupe ki shaal se aage nahin gae
hai kaamyaabi-e-mardaan mein haath aurat kaa
magar tu ek hi aurat pe inhisaar na kar
main ek bori mein laayaa huun bhar ke mung-phali
kisi ke saath december ki raat kaaTni hai
vo tiis saal se hai faqat biis saal ki
chehre pe aa chuki hai buzurgi jamaal ki
de rahe hain is liye jangal mein dharnaa jaanvar
ek chuhe ko rihaaish ke liye bil chaahiye
vo aftaari se pahle chakhte chakhte
khujurein aur pakauDe khaa chukaa hai