Shayari
yuun mohabbat ko umr-bhar paDhnaa
zindagi imtihaan ho jaise
ye baaton mein narmi ye tahzib-o-aadaab
sabhi kuchh milaa ham ko urdu zabaan se
یہ باتوں میں نرمی یہ تہذیب و آداب
سبھی کچھ ملا ہم کو اردو زباں سے
ये बातों में नर्मी ये तहज़ीब-ओ-आदाब
सभी कुछ मिला हम को उर्दू ज़बाँ से

yuun mohabbat ko umr-bhar paDhnaa
zindagi imtihaan ho jaise
jise manzil samajh kar ruk gae ham
vahin se apnaa aaghaaz-e-safar thaa
mohabbat baanTanaa sikho mohabbat hai ataa rab ki
mohabbat baanTne vaale tavil-ul-umr hote hain
mujh ko akhbaar si lagti hain tumhaari baatein
har nae roz nayaa fitna bayaan karti hain
is daur-e-aakhiri ki jahaalat to dekhiye
jis ki zabaan-daraaz hukumat usi ki hai
apni kamar se aap hi baandhe safar tamaam
phir yuun huaa ki main kabhi apnaa nahin banaa