Shayari
use kaho ki use bakhsh dungi saaraa jahaan
use kaho ki miri samt ek baar aae
jab apni aankhon se chehre kai utaar aae
qadam qadam pe kai baar phir ghubaar aae
جب اپنی آنکھوں سے چہرے کئی اتار آئے
قدم قدم پہ کئی بار پھر غبار آئے
जब अपनी आँखों से चेहरे कई उतार आए
क़दम क़दम पे कई बार फिर ग़ुबार आए

use kaho ki use bakhsh dungi saaraa jahaan
use kaho ki miri samt ek baar aae
jis ruup mein bhi chaaho ham aa mileinge tum ko
nuur aur khaak tak hai sab silsila hamaaraa
ham manzilon ke baasi kab se bhaTak rahe hain
kab raah par chalegaa ye raasta hamaaraa
dair-o-haram pukaarne aae hamein magar
lekin khayaal-e-yaar se fursat nahin mili
main chaahun bhi to zamaana badal nahin sakti
ki 'bushraa' log yahaan jhuuT bolte hain bahut
zulmat ke kaarobaar se fursat nahin mili
jis ko tire dayaar se fursat nahin mili