Shayari
chhuT ke ghar aa gae asiir tire
lekin ab in ko kaun pahchaane
meri ghuTTi mein paDi thi ho ke hal urdu zabaan
jo bhi main kahtaa gayaa husn-e-bayaan bantaa gayaa
میری گھٹی میں پڑی تھی ہو کے حل اردو زباں
جو بھی میں کہتا گیا حسن بیاں بنتا گیا
मेरी घुट्टी में पड़ी थी हो के हल उर्दू ज़बाँ
जो भी मैं कहता गया हुस्न-ए-बयाँ बनता गया

chhuT ke ghar aa gae asiir tire
lekin ab in ko kaun pahchaane
kam se kam maut se aisi mujhe ummid nahin
zindagi tu ne to dhoke pe diyaa hai dhoka
bahut dinon mein mohabbat ko ye huaa maalum
jo tere hijr mein guzri vo raat raat hui
kisi kaa yuun to huaa kaun umr bhar phir bhi
ye husn o ishq to dhokaa hai sab magar phir bhi
jo uljhi thi kabhi aadam ke haathon
vo gutthi aaj tak suljhaa rahaa huun
main muddaton jiyaa huun kisi dost ke baghair
ab tum bhi saath chhoDne ko kah rahe ho khair