Shayari
aap ne auron se kahaa sab kuchh
ham se bhi kuchh kabhi kahin kahte
haath chhuTein bhi to rishte nahin chhoDaa karte
vaqt ki shaakh se lamhe nahin toDaa karte
ہاتھ چھوٹیں بھی تو رشتے نہیں چھوڑا کرتے
وقت کی شاخ سے لمحے نہیں توڑا کرتے
हाथ छूटें भी तो रिश्ते नहीं छोड़ा करते
वक़्त की शाख़ से लम्हे नहीं तोड़ा करते

aap ne auron se kahaa sab kuchh
ham se bhi kuchh kabhi kahin kahte
aaina dekh kar tasalli hui
ham ko is ghar mein jaantaa hai koi
shaam se aankh mein nami si hai
aaj phir aap ki kami si hai
aadatan tum ne kar diye vaade
aadatan ham ne e'tibaar kiyaa
aap ke baa'd har ghaDi ham ne
aap ke saath hi guzaari hai
kabhi to chaunk ke dekhe koi hamaari taraf
kisi ki aankh mein ham ko bhi intizaar dikhe