Shayari
aap ne auron se kahaa sab kuchh
ham se bhi kuchh kabhi kahin kahte
aankhon ke pochhne se lagaa aag kaa pata
yuun chehra pher lene se chhuptaa nahin dhuaan
آنکھوں کے پوچھنے سے لگا آگ کا پتہ
یوں چہرہ پھیر لینے سے چھپتا نہیں دھواں
आँखों के पोछने से लगा आग का पता
यूँ चेहरा फेर लेने से छुपता नहीं धुआँ

aap ne auron se kahaa sab kuchh
ham se bhi kuchh kabhi kahin kahte
aaina dekh kar tasalli hui
ham ko is ghar mein jaantaa hai koi
shaam se aankh mein nami si hai
aaj phir aap ki kami si hai
aadatan tum ne kar diye vaade
aadatan ham ne e'tibaar kiyaa
aap ke baa'd har ghaDi ham ne
aap ke saath hi guzaari hai
kabhi to chaunk ke dekhe koi hamaari taraf
kisi ki aankh mein ham ko bhi intizaar dikhe