Shayari
vo mujh ko dekhne mere qarib aayaa hai
ye dhund saare mahinon mein kyuun nahin paDti
phir is ke baa'd se muD kar bhi dekhtaa huun main
kisi kiran se milaayaa thaa aaine ne mujhe
پھر اس کے بعد سے مڑ کر بھی دیکھتا ہوں میں
کسی کرن سے ملایا تھا آئنے نے مجھے
फिर इस के ब'अद से मुड़ कर भी देखता हूँ मैं
किसी किरन से मिलाया था आइने ने मुझे

vo mujh ko dekhne mere qarib aayaa hai
ye dhund saare mahinon mein kyuun nahin paDti
main chaah kar bhi use kuchh na de sakaa 'haaris'
vo bhaav puchh ke meri dukaan se lauT gayaa
yaani darvaaza bhi ik ism hai jis ko paDh kar
log divaar ke andar se guzaare jaaein
pahle ki baat aur hai jab dil mein the muqim
ab tum ragon mein dauDte ho khuun ki tarah
kaamyaabi ki duaaein mujhe dene vaale
main tire ishq mein naakaam huaa jaataa huun
tumhaari yaad ki shiddat mein bahne vaalaa ashk
zamin mein bo diyaa jaae to aankh ug aae