Shayari
jis tarah log khasaare mein bahut sochte hain
aaj kal ham tire baare mein bahut sochte hain
par le ke kidhar jaaein kuchh duur tak uD aaein
dam jitnaa mayassar hai ye Thahri havaa kaaTein
پر لے کے کدھر جائیں کچھ دور تک اڑ آئیں
دم جتنا میسر ہے یہ ٹھہری ہوا کاٹیں
पर ले के किधर जाएँ कुछ दूर तक उड़ आएँ
दम जितना मयस्सर है ये ठहरी हवा काटें

jis tarah log khasaare mein bahut sochte hain
aaj kal ham tire baare mein bahut sochte hain
tiri pahli diid ke saath hi vo fusun bhi thaa
tujhe dekh kar tujhe dekhnaa mujhe aa gayaa
ziyaan-e-dil hi is baazaar mein sud-e-mohabbat hai
yahaan hai faaeda khud ko agar nuqsaan mein rakh lein
bannaa thaa to bantaa na farishta na khudaa main
insaan hi bantaa miri takmil to ye thi
vo bhi ro ro ke bujhaa Daalaa hai ab aankhon ne
raushni detaa thaa jo ek diyaa andar se
miri khaak us ne bikher di sar-e-rah ghubaar banaa diyaa
main jab aa sakaa na shumaar mein mujhe be-shumaar banaa diyaa