Shayari
jis tarah log khasaare mein bahut sochte hain
aaj kal ham tire baare mein bahut sochte hain
ziyaan-e-dil hi is baazaar mein sud-e-mohabbat hai
yahaan hai faaeda khud ko agar nuqsaan mein rakh lein
زیان دل ہی اس بازار میں سود محبت ہے
یہاں ہے فائدہ خود کو اگر نقصان میں رکھ لیں
ज़ियान-ए-दिल ही इस बाज़ार में सूद-ए-मोहब्बत है
यहाँ है फ़ाएदा ख़ुद को अगर नुक़सान में रख लें

jis tarah log khasaare mein bahut sochte hain
aaj kal ham tire baare mein bahut sochte hain
tiri pahli diid ke saath hi vo fusun bhi thaa
tujhe dekh kar tujhe dekhnaa mujhe aa gayaa
bannaa thaa to bantaa na farishta na khudaa main
insaan hi bantaa miri takmil to ye thi
vo bhi ro ro ke bujhaa Daalaa hai ab aankhon ne
raushni detaa thaa jo ek diyaa andar se
miri khaak us ne bikher di sar-e-rah ghubaar banaa diyaa
main jab aa sakaa na shumaar mein mujhe be-shumaar banaa diyaa
ab baanjh zaminon se ummid bhi kyaa rakhnaa
roein bhi to laa-haasil boein bhi to kyaa kaaTein
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mizhgaan-zadan se kam hai zamaan-e-namaaz-e-ishq
ho jaave faut vaqt hi jab tak vazu karein
ye roz DhunDh laae hai ik khub-ru nayaa
shaaki hain apne hi dil-e-aafat-talab se ham
kashish ne ishq ki kyaa kaam kuchh kiyaa thoDaa
hazaar baar to raanjhaa ko laai hiir ke ghar
mere dil-e-shikasta ko kahti hai dekh khalq
kyaa zor-e-aaina hai ye hove agar durust