Shayari
ek hi to havas rahi hai hamein
apni haalat tabaah ki jaae
ham-nafasaan-e-vaza-daar mustamiaan-e-burd-baar
ham to tumhaare vaaste ek vabaal ho gae
ہم نفسان وضع دار مستمعان برد بار
ہم تو تمہارے واسطے ایک وبال ہو گئے
ham-nafasān-e-vaz.a-dār mustami.ān-e-burd-bār
ham to tumhāre vāste ek vabāl ho ga.e

ek hi to havas rahi hai hamein
apni haalat tabaah ki jaae
aaj bahut din baa'd main apne kamre tak aa niklaa thaa
juun hi darvaaza kholaa hai us ki khushbu aai hai
shishe ke is taraf se main sab ko tak rahaa huun
marne ki bhi kisi ko fursat nahin hai mujh mein
main ab har shakhs se uktaa chukaa huun
faqat kuchh dost hain aur dost bhi kyaa
vo jo na aane vaalaa hai naa us se mujh ko matlab thaa
aane vaalon se kyaa matlab aate hain aate honge
bahut nazdik aati jaa rahi ho
bichhaDne kaa iraada kar liyaa kyaa