Shayari
chhup-chhup ke dekhte ho bahut us ko har kahin
hogaa ghazab jo paD gai us ki nazar kahin
J
Joshish Azimabadichashm-e-vahdat se gar koi dekhe
but-parasti bhi haq-parasti hai
چشم وحدت سے گر کوئی دیکھے
بت پرستی بھی حق پرستی ہے
चश्म-ए-वहदत से गर कोई देखे
बुत-परस्ती भी हक़-परस्ती है
chhup-chhup ke dekhte ho bahut us ko har kahin
hogaa ghazab jo paD gai us ki nazar kahin
dhyaan mein us ke fanaa ho kar koi munh dekh le
dil vo aaina nahin jo har koi munh dekh le
ahvaal dekh kar miri chashm-e-pur-aab kaa
dariyaa se aaj TuuT gayaa dil habaab kaa
us ke rukhsaar par kahaan hai zulf
shola-e-husn kaa dhuaan hai zulf
kis tarah tujh se mulaaqaat mayassar hove
ye duaa-go tiraa ne zor na zar rakhtaa hai
gulzaar-e-mohabbat mein na phule na phale ham
maanind-e-chinaar aag mein apni hi jale ham