SHAWORDS
🌿
فطرت

Fitrat

Nature poetry — rivers, mountains, seasons, and the beauty of the world.

10,079+ entries
Quote
"kab tak ghuT kar jiite rahte sachchaai ke maare khvaab palkon ki dahliz se baahar nikle phir banjaare khvaab fitrat se hi aavaara hain kab Thahre jo Thahreinge kaise palkon par aTke hain kuchh khush-rang tumhaare khvaab ab maulaa hi jaane in mein apnaa kaun paraayaa kaun hans-hans kar har shab milte hain yuun to itne saare khvaab jivan ki is aapaa-dhaapi mein jo pichhe chhuT gae jaane ab kis haal mein honge vo qismat ke maare khvaab taa'biron ki faslein kaisi ugti hain kal dekheinge ham ne bhi boe hain shab bhar rang-birange pyaare khvaab kab 'akhilesh' tavaqqo' ki thi barfili is ghaaTi se aankhon se barseinge us ki ban kar yuun angaare khvaab"
Akhilesh TiwariAkhilesh Tiwari
Quote
"iztiraab-e-dil-e-bimaar se Dar lagtaa hai nabz ki surat-e-raftaar se Dar lagtaa hai husn ke ishva-e-tarraar se Dar lagtaa hai laghzish-e-fitrat-e-khuddaar se Dar lagtaa hai manzil-e-hashr bahut duur sahi par ab bhi pursish-e-bakht-e-siyahkaar se Dar lagtaa hai ik alamnaak fasaana hai junun-e-ulfat jis ki tafsir ke izhaar se Dar lagtaa hai jaada-e-hosh se haT jaaein na mai-kash ke qadam jaam ki garmi-e-raftaar se Dar lagtaa hai yaa to naamus-e-mohabbat pe thaa marnaa bar-haq yaa to zikr-e-rasan-o-daar se Dar lagtaa hai rukh badal de na mohabbat kaa ye aashufta-sari e'tibaar-e-nigah-e-yaar se Dar lagtaa hai ye aqidat hi kahin darpai-e-aazaar na ho sharf-e-paa-bosi-e-aghyaar se Dar lagtaa hai toD Daalein na kahin aap miraa shisha-e-dil aap ki shumi-e-guftaar se Dar lagtaa hai gham-o-aalaam se is darja saraasima huun ki mujhe aks-e-rukh-e-yaar se Dar lagtaa hai bhuul jaaun na kahin apni hi hasti kaa maqaam aap ki chashm-e-fusun-baar se Dar lagtaa hai bad-gumaani hui is darja dakhil-e-fitrat un ko ab saaya-e-divaar se Dar lagtaa hai phir barangekhta ho jaaein na jazbaat-e-nihaan shoala-saamaani-e-rukhsaar se Dar lagtaa hai baahami rabt mein ban jaae na hadd-e-faasil ikhtilaafaat ki divaar se Dar lagtaa hai kuchh to badle hue haalaat se vahshat hai 'azim' kuchh to bigDe hue aasaar se Dar lagtaa hai"
A
Azeem Hyderabadi
Quote
"mohabbat hai aziyyat hai hujum-e-yaas-o-hasrat hai javaani aur itni dukh bhari kaisi qayaamat hai vo maazi jo hai ik majmua ashkon aur aahon kaa na jaane mujh ko is maazi se kyuun itni mohabbat hai lab-e-dariyaa mujhe lahron se yunhi chahal karne do ki ab dil ko isi ik shughl-e-be-maani mein raahat hai tiraa afsaana ai afsaana-khvaan rangin sahi mumkin mujhe rudaad-e-ishrat sun ke ro dene ki aadat hai koi roe to main be-vajh khud bhi rone lagtaa huun ab 'akhtar' chaahe tum kuchh bhi kaho ye meri fitrat hai"
Akhtar AnsariAkhtar Ansari
Quote
"samaa saktaa nahin pahnaa-e-fitrat mein miraa saudaa ghalat thaa ai junun shaayad tiraa andaaza-e-sahraa khudi se is tilism-e-rang-o-bu ko toD sakte hain yahi tauhid thi jis ko na tu samjhaa na main samjhaa nigah paidaa kar ai ghaafil tajalli ain-e-fitrat hai ki apni mauj se begaana rah saktaa nahin dariyaa raqaabat 'ilm o 'irfaan mein ghalat-bini hai mimbar ki ki vo hallaaj ki suuli ko samjhaa hai raqib apnaa khudaa ke paak bandon ko hukumat mein ghulaami mein zirah koi agar mahfuz rakhti hai to istighnaa na kar taqlid ai jibril mere jazb-o-masti ki tan-aasaan arshiyon ko zikr o tasbih o tavaaf aulaa bahut dekhe hain main ne mashriq o maghrib ke mai-khaane yahaan saaqi nahin paidaa vahaan be-zauq hai sahbaa na iraan mein rahe baaqi na turaan mein rahe baaqi vo bande faqr thaa jin kaa halaak-e-qaisar-o-kisraa yahi shaikh-e-haram hai jo churaa kar bech khaataa hai galim-e-buzar o dalq-e-uves o chaadar-e-zahraa huzur-e-haq mein israafil ne meri shikaayat ki ye banda vaqt se pahle qayaamat kar na de barpaa nidaa aai ki aashob-e-qayaamat se ye kyaa kam hai girafta chiniyaan ehraam o makki khufta dar bathaa labaalab shisha-e-tahzib-e-haazir hai mai-e-laa se magar saaqi ke haathon mein nahin paimaana-e-illaa dabaa rakkhaa hai is ko zakhma-var ki tez-dasti ne bahut niche suron mein hai abhi europe kaa vaavailaa isi dariyaa se uThti hai vo mauj-e-tund-jaulaan bhi nahangon ke nasheman jis se hote hain tah-o-baalaa ghulaami kyaa hai zauq-e-husn-o-zebaai se mahrumi jise zebaa kahein aazaad bande hai vahi zebaa bharosaa kar nahin sakte ghulaamon ki basirat par ki duniyaa mein faqat mardaan-e-hur ki aankh hai biinaa vahi hai saahib-e-imroz jis ne apni himmat se zamaane ke samundar se nikaalaa gauhar-e-fardaa farangi shishagar ke fan se patthar ho gae paani miri iksir ne shishe ko bakhshi sakhti-e-khaaraa rahe hain aur hain firaun meri ghaat mein ab tak magar kyaa gham ki meri aastin mein hai yad-e-baizaa vo chingaari khas-o-khaashaak se kis tarah dab jaae jise haq ne kiyaa ho nistaan ke vaaste paidaa mohabbat kheshtan biini mohabbat kheshtan daari mohabbat aastaan-e-qaisar-o-kisraa se be-parvaa 'ajab kyaa gar mah o parvin mire nakhchir ho jaaein ki bar fitraak-e-saahib daulat-e-bastam sar-e-khud raa vo daana-e-subul khatmur-rusul maulaa-e-kul jis ne ghubaar-e-raah ko bakhshaa farogh-e-vaadi-e-sinaa nigaah-e-ishq o masti mein vahi avval vahi aakhir vahi quraan vahi furqaan vahi yaasin vahi taahaa 'sanaai' ke adab se main ne ghavvaasi na ki varna abhi is bahr mein baaqi hain laakhon lulu-e-laalaa"
Allama IqbalAllama Iqbal
Quote
"raaz jo sina-e-fitrat mein nihaan hotaa hai sab se pahle dil-e-shaair pe ayaan hotaa hai sakht khun-rez jab aashob-e-jahaan hotaa hai nahin maalum ye insaan kahaan hotaa hai jab koi haadsa-e-kaun-o-makaan hotaa hai zarra zarra meri jaanib nigaraan hotaa hai jo nazar-karda-e-saahab-nazraan hotaa hai usi divaane ke qadmon pe jahaan hotaa hai jab koi ishq mein barbaad-e-jahaan hotaa hai mujh ko mahsus khud apnaa hi ziyaan hotaa hai mutazalzal hai adab-gaah-e-mohabbat ki zamin koi dekhe to ye hangaama kahaan hotaa hai kahin aisaa to nahin vo bhi ho koi aazaar tujh ko jis chiiz pe raahat kaa gumaan hotaa hai dil ghani ho to har ik ranj bhi dil ki raahat zehn muflis ho to har suud ziyaan hotaa hai imtihaan-gaah-e-mohabbat mein na rakkhe vo qadam maut ke naam se jis ko khafaqaan hotaa hai yahi vo manzil-e-dushvaar hai jis manzil mein khatm har marhala-e-sud-o-ziyaan hotaa hai har qadam maarka-e-karb-o-balaa hai darpesh har nafas saaneha-e-marg-e-javaan hotaa hai naaz jis khaak-e-vatan par thaa mujhe aah 'jigar' usi jannat pe jahannam kaa gumaan hotaa hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi
Quote
"ham apne zakhm sabhi ko dikhaa nahin sakte jo shikva tum se hai sab ko sunaa nahin sakte mire khayaal ki gahraai ko zaraa samjho ki sirf lafz to matlab bataa nahin sakte malaal ye hai ki saaqi to ban gae saahab sharaab haath mein hai aur pilaa nahin sakte ajab hai phuul ki fitrat use masal kar tum mahakte haathon ki khushbu chhupaa nahin sakte likhaa gayaa jo muqaddar mein harf-e-aakhir hai tum apni marzi se is ko miTaa nahin sakte hazaaron hiile bahaane taraash lo phir bhi tum apne chehre ki khiffat chhupaa nahin sakte ab ek ham hain ki sadiyaan guzaar dein 'aadil' aur ek vo hain ki lamha bataa nahin sakte"
Ahmad AdilAhmad Adil
Quote
"varaq varaq meri daastaan hai shikaar huun apni aagahi kaa samundaron se fareb khaa kar suraagh paayaa hai tishnagi kaa main apni mushkil-pasand fitrat se qarz le kar jafaa-kashi kaa kahin bayaabaan mein jaa basungaa jahaan ijaara na ho kisi kaa miri samaa'at ke saare jangal navaa ke sho'lon se jal rahe hain mire 'ilaaqe pe kis qayaadat ne jaal pheinkaa hai raushni kaa jahaan kahin 'ilm ki qanaa'at ne vahm ke hausle baDhaae vahin ta'aqqul ki mukhbiri ne ghurur toDaa hai bandagi kaa main apne baatin ke zalzalon ki tabaah-kaari se bach to niklaa khaDaa huun aatish-fishaan ki zad par bhalaa ho ehsaas-e-kamtari kaa ye shahr-e-ahl-e-karam hai 'taalib' ye log hain laaiq-e-tamaashaa ho khvaahish-e-did misl-e-ghaalib to svaang bhar lo gadaagari kaa"
Allama Talib JauhariAllama Talib Jauhari
Quote
"koshish musaalahat ki to lail-o-nahaar ki har lamha kaifiyat hai magar intishaar ki gujraat dil hai gar miraa kashmir hai qalam likhtaa huun daastaan badan ke chinaar ki aql-o-khirad hamaare na kuchh kaam aa sake josh-e-junun ne aabru rakh li hai daar ki sab marhale tamaam hue jiit ke magar be-mehri-e-rafiq hui vajah haar ki saanson pe ikhtiyaar na duniyaa kaa eatibaar fitrat yahi hai aalam-e-naa-paaedaar ki palkein bichhaaun raahon mein ye aajizi nahin mizaan ye nahin hai 'qalaq' inkisaar ki"
Ashfaq QalaqAshfaq Qalaq
Quote
"jaise hi ziina bolaa tah khaane kaa kunDli maar ke baiThaa saanp khazaane kaa ham bhi zakhm-talab the apni fitrat mein vo bhi kuchh sachchaa thaa apne nishaane kaa raahib apni zaat mein shahr aabaad karein dair ke baahar pahraa hai viraane kaa vaqt ki qainchi us ke paron ko kaaT gai sham' se rishta Tuut gayaa parvaane kaa barse kyaa be-faiz zamin par abr-e-karam khaak kaa har zarra maqruz hai daane daane kaa subh savere shabnam chaaTne vaale phuul dekh liyaa khamyaaza pyaas bujhaane kaa baat kahi aur kah kar khud hi kaaT bhi di ye bhi ik pairaaya thaa samjhaane kaa 'taalib' un ko paanaa to dushvaar na thaa andesha thaa khud apne kho jaane kaa"
Allama Talib JauhariAllama Talib Jauhari
Quote
"madaava-e-junun sair-e-gulistaan se nahin hotaa rafu-e-chaak-e-dil taar-e-garebaan se nahin hotaa ba-juz manzil kahin raahat nahin milti musaafir ko ilaaj-e-aabla-paai bayaabaan se nahin hotaa hijaab-e-dost ne bakhshaa hai vo lutf-e-yaqin dil ko ki ye aasuda ab husn-e-numaayaan se nahin hotaa jilaa hoti hai zarf-e-zist par tanqid-e-daanaa se mudaavaa nafs kaa chashm-e-sanaa-khvaan se nahin hotaa ba-qadr-e-zarf fitrat karti hai baalidgi dil ki ye vo kaar-e-aham hai jo dabistaan se nahin hotaa kiyaa hai ru-shanaas-e-afv main ne teri rahmat ko liyaa vo kaam isyaan se jo imaan se nahin hotaa jigar ke daagh hi marqad mein kaam 'ejaaz' aaeinge ujaalaa aisi zulmat mein charaaghaan se nahin hotaa"
E
Ejaz Warsi