Shayari
ek bosa honT par phailaa tabassum ban gayaa
jo haraarat thi miri us ke badan mein aa gai
meri aavaaz ko aavaaz ne taqsim kiyaa
radio mein huun telephone ke andar huun main
میری آواز کو آواز نے تقسیم کیا
ریڈیو میں ہوں ٹیلیفون کے اندر ہوں میں
मेरी आवाज़ को आवाज़ ने तक़्सीम किया
रेडियो में हूँ टेलीफ़ोन के अंदर हूँ मैं

ek bosa honT par phailaa tabassum ban gayaa
jo haraarat thi miri us ke badan mein aa gai
ab na vo ahbaab zinda hain na rasm-ul-khat vahaan
ruuTh kar urdu to dehli se dakan mein aa gai
shaairi mein anfus-o-aafaaq mubham hain abhi
istiaara hi haqiqat mein khudaa saa khvaab hai
az-sar-e-nau fikr kaa aaghaaz karnaa chaahiye
be-par-o-baal sahi parvaaz karnaa chaahiye
javaab dene ki mohlat na mil saki ham ko
vo pal mein laakh savaalaat kar ke jaataa hai
maahaul sab kaa ek hai aanhkein vahi nazrein vahi
sab se alag raahein miri sab se judaa manzar miraa