Shayari
ai dost tujh ko rahm na aae to kyaa karun
dushman bhi mere haal pe ab aab-dida hai
do hi din mein ye sanam hosh-rubaa hote hain
kal ke tarshe hue but aaj khudaa hote hain
دو ہی دن میں یہ صنم ہوش ربا ہوتے ہیں
کل کے ترشے ہوئے بت آج خدا ہوتے ہیں
दो ही दिन में ये सनम होश-रुबा होते हैं
कल के तर्शे हुए बुत आज ख़ुदा होते हैं

ai dost tujh ko rahm na aae to kyaa karun
dushman bhi mere haal pe ab aab-dida hai
apni zabaan se mujhe jo chaahe kah lein aap
baDh baDh ke bolnaa nahin achchhaa raqib kaa
jab kahte hain ham karte ho kyuun vaada-khilaafi
farmaate hain hans kar ye nai baat nahin hai
us ne phir kar bhi na dekhaa main use dekhaa kiyaa
de diyaa dil raah chalte ko ye main ne kyaa kiyaa
mal rahe hain vo apne ghar mehndi
ham yahaan eDiyaan ragaDte hain
vahi shaagird phir ho jaate hain ustaad ai 'jauhar'
jo apne jaan-o-dil se khidmat-e-ustaad karte hain