Shayari
ai dost tujh ko rahm na aae to kyaa karun
dushman bhi mere haal pe ab aab-dida hai
naala-e-bulbul-e-shaidaa to sunaa hans hans kar
ab jigar thaam ke baiTho miri baari aai
نالۂ بلبل شیدا تو سنا ہنس ہنس کر
اب جگر تھام کے بیٹھو مری باری آئی
नाला-ए-बुलबुल-ए-शैदा तो सुना हँस हँस कर
अब जिगर थाम के बैठो मिरी बारी आई

ai dost tujh ko rahm na aae to kyaa karun
dushman bhi mere haal pe ab aab-dida hai
apni zabaan se mujhe jo chaahe kah lein aap
baDh baDh ke bolnaa nahin achchhaa raqib kaa
jab kahte hain ham karte ho kyuun vaada-khilaafi
farmaate hain hans kar ye nai baat nahin hai
us ne phir kar bhi na dekhaa main use dekhaa kiyaa
de diyaa dil raah chalte ko ye main ne kyaa kiyaa
mal rahe hain vo apne ghar mehndi
ham yahaan eDiyaan ragaDte hain
vahi shaagird phir ho jaate hain ustaad ai 'jauhar'
jo apne jaan-o-dil se khidmat-e-ustaad karte hain