Shayari
raahon mein jaan ghar mein charaaghon se shaan hai
dipaavli se aaj zamin aasmaan hai
jo log guzarte hain musalsal rah-e-dil se
din eid kaa un ko ho mubaarak tah-e-dil se
جو لوگ گزرتے ہیں مسلسل رہ دل سے
دن عید کا ان کو ہو مبارک تہ دل سے
जो लोग गुज़रते हैं मुसलसल रह-ए-दिल से
दिन ईद का उन को हो मुबारक तह-ए-दिल से

raahon mein jaan ghar mein charaaghon se shaan hai
dipaavli se aaj zamin aasmaan hai
dekhtaa huun tu nahin rahm ke qaabil koi
sochtaa huun to hazaaron taras aataa hai
nazaakat hai bahut is mein magar ye jaantaa huun main
mohabbat jis ko ho jaati hai urdu siikh jaataa hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai