Shayari
diyaa hai naam kafan-chor jab se tum ne mujhe
puraani qabron ke murde miri talaash mein hain
daadaa-giri mein baabaa kuchh kam nahin the lekin
baabaa se baDh ke chaalu beTe nikal rahe hain
دادا گری میں بابا کچھ کم نہیں تھے لیکن
بابا سے بڑھ کے چالو بیٹے نکل رہے ہیں
दादा-गिरी में बाबा कुछ कम नहीं थे लेकिन
बाबा से बढ़ के चालू बेटे निकल रहे हैं
