Shayari
naala kartaa huun log sunte hain
aap se meraa kuchh kalaam nahin
Q
Qalaq Merathiteraa divaana to vahshat ki bhi had se niklaa
ki bayaabaan ko bhi chaahe hai bayaabaan honaa
تیرا دیوانہ تو وحشت کی بھی حد سے نکلا
کہ بیاباں کو بھی چاہے ہے بیاباں ہونا
तेरा दीवाना तो वहशत की भी हद से निकला
कि बयाबाँ को भी चाहे है बयाबाँ होना
naala kartaa huun log sunte hain
aap se meraa kuchh kalaam nahin
amn aur tere ahd mein zaalim
kis tarah khaak-e-rahguzar baiThe
har sang mein kaabe ke nihaan ishva-e-but hai
kyaa baani-e-islaam bhi ghaarat-gar-e-din thaa
ham us kuche mein uThne ke liye baiThe hain muddat se
magar kuchh kuchh sahaaraa hai abhi be-dast-o-paai kaa
tu hai harjaai to apnaa bhi yahi taur sahi
tu nahin aur sahi aur nahin aur sahi
kufr aur islaam mein dekhaa to naazuk farq thaa
dair mein jo paak thaa kaabe mein vo naapaak thaa