Shayari
sab savaalon ke javaab ek se ho sakte hain
ho to sakte hain magar aisaa kahaan hotaa hai
mere baare mein jo sunaa tu ne
meri baaton kaa ek hissa hai
میرے بارے میں جو سنا تو نے
میری باتوں کا ایک حصہ ہے
मेरे बारे में जो सुना तू ने
मेरी बातों का एक हिस्सा है

sab savaalon ke javaab ek se ho sakte hain
ho to sakte hain magar aisaa kahaan hotaa hai
tamaam vahm o gumaan hai to ham bhi dhoka hain
isi khayaal se duniyaa ko main ne pyaar kiyaa
hai ek umr se khvaahish ki duur jaa ke kahin
main khud ko ajnabi logon ke darmiyaan dekhun
zamaane bhar se ulajhte hain jis ki jaanib se
akele-pan mein use ham bhi kyaa nahin kahte
zarurat us ki hamein hai magar ye dhyaan rahe
kahaan vo ghair-zaruri kahaan zaruri hai
tere baare mein agar khaamosh huun main aaj tak
phir tire haq mein kisi kaa faisla kaise huaa