Shayari
usi ke khvaab the saare usi ko saunp diye
so vo bhi jiit gayaa aur main bhi haaraa nahin
vo chehra mujhe saaf dikhaai nahin detaa
rah jaati hain saayon mein ulajh kar miri aankhein
وہ چہرہ مجھے صاف دکھائی نہیں دیتا
رہ جاتی ہیں سایوں میں الجھ کر مری آنکھیں
वो चेहरा मुझे साफ़ दिखाई नहीं देता
रह जाती हैं सायों में उलझ कर मिरी आँखें

usi ke khvaab the saare usi ko saunp diye
so vo bhi jiit gayaa aur main bhi haaraa nahin
raunaq-e-bazm nahin thaa koi tujh se pahle
raunaq-e-bazm tire baa'd nahin hai koi
aaine mein kahin gum ho gai surat meri
mujh se milti hi nahin shakl-o-shabaahat meri
us se kah do ki mujhe us se nahin milnaa hai
vo hai masruf to be-kaar nahin huun main bhi
dil jo TuuTaa hai to phir yaad nahin hai koi
is kharaabe mein ab aabaad nahin hai koi
milte ho to ab tum bhi bahut rahte ho khaamosh
kyaa tum ko bhi ab meri khabar hone lagi hai