Shayari
dhyaan mein koi chehra laa kar marzi kaa
aankhein bun leti hain manzar marzi kaa
ham diye hain havaa ke raste mein
aur tartib se dhare hue hain
ہم دیے ہیں ہوا کے رستے میں
اور ترتیب سے دھرے ہوئے ہیں
हम दिए हैं हवा के रस्ते में
और तरतीब से धरे हुए हैं

dhyaan mein koi chehra laa kar marzi kaa
aankhein bun leti hain manzar marzi kaa
zaraa shaadaab honaa chaahte hain
hamein rone do ronaa chaahte hain
ik umr tak main us ki zarurat banaa rahaa
phir yuun huaa ki us ki zarurat badal gai
badlaa jo vaqt gahri rifaaqat badal gai
suraj Dhalaa to saae ki surat badal gai
hamaare paas sunaane ko kuchh nahin 'fahmi'
hamein to khvaab bhi dekhe hue zamaana huaa
vo ek shakhs kisi taur jo miraa na huaa
miri balaa se kisi kaa huaa huaa na huaa