SHAWORDS
💕
محبت

Mohabbat

The purest form of love — tender, devoted, and eternal.

25,471+ entries
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"dil mubtalaa-e-hijr rifaaqat mein rah gayaa lagtaa hai koi farq mohabbat mein rah gayaa is ghar ke do makin the ik peD aur main ye hijr to kisi ki sharaarat mein rah gayaa ik baar mana karti hui shaam se to puchh jo bhi judaa huaa vo haqiqat mein rah gayaa mumkin thaa tujh ko chhin hi letaa jahaan se lekin main kyaa karun main mohabbat mein rah gayaa ab tu hi meri khaali hatheli ki laaj rakh mujh se to koi farq ibaadat mein rah gayaa tujh par hai koi zoam na khud par yaqin 'nadim' kuchh din kaa ham mein pyaar to aadat mein rah gayaa"
Nadeem BhabhaNadeem Bhabha
Quote
"bahut shiddat se jo qaaem huaa thaa vo rishta ham mein shaayad jhuuT kaa thaa mohabbat ne akelaa kar diyaa hai main apni zaat mein ik qaafila thaa miri aankhon mein baarish ki ghuTan thi tumhaare paanv baadal chumtaa thaa tumhaari hi gali kaa vaaqia hai main pahli baar jab tanhaa huaa thaa khujuron ke darakhton se bhi unchaa mire dil mein tumhaaraa martaba thaa mohabbat is liye bhi ki gai thi hamaaraa sher kahnaa masala thaa mujhe ik phuul ne samjhaai duniyaa jo tere sabz baaghon mein khilaa thaa zuhur-e-aadam-o-havvaa se pahle hamaare vaaste sab kuchh nayaa thaa zamin par jab zamini masale the to baarish bhi mukammal vaaqia thaa qadam uThne mein kitni barkatein thiin aur un haathon mein kaisaa zaaiqa thaa phir is ke baad raste mar gae the main bas ik saans lene ko rukaa thaa"
Nadeem BhabhaNadeem Bhabha
Quote
"aap ki jab se mehrbaani hai dil ke har zakhm par javaani hai aap se duur rah ke zinda hain ye bhi kyaa koi zindagaani hai baad muddat ke us ko dekhaa hai jo mohabbat kaa meri baani hai puchhte kyaa ho mere dil kaa haal is ki to lambi ik kahaani hai saath jiinaa hai saath marnaa hai ye qasam aap ko bhi khaani hai jis ki khaatir ye ho gai hai ghazal vo khayaalon ki mere raani hai khauf mein us ke ham nahin rahte maut to ek roz aani hai kitnaa be-dard ho gayaa vo 'salim' duur rahne ki jis ne Thaani hai"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi
Quote
"Dhalke Dhalke aansu Dhalke chhalke chhalke saaghar chhalke dil ke taqaaze un ke ishaare bojhal bojhal halke halke dekho dekho daaman uljhaa Thahro Thahro saaghar chhalke un kaa taghaaful un ki tavajjoh ik dil us par laakh tahalke un ki tamannaa un ki mohabbat dekho sanbhaal ke dekho sanbhal ke gham ne uThaae saikDon tufaan dil ne bisaaraa laakh machal ke pal mein hansaao pal mein rulaao pal mein ujaale pal mein dhundalke ham ne samjhaa tum ne jaanaa dil ne machaae laakh tahalke laakh manaayaa laakh bhulaayaa nain kaTore bhar bhar kar chhalke kitne uljhe kitne sidhe raste un ke rang-mahal ke"
Ada JafareyAda Jafarey
Quote
"masarrat ke lamhaat kam dekhte hain zamaane ki aankhon mein gham dekhte hain ye kis ki hai aamad shagufta fazaa hai bahaaron kaa har-su karam dekhte hain miTaayaa hai jis ne mohabbat mein khud ko ham us kaa hi naqsh-e-qadam dekhte hain ukhuvvat mohabbat na hi bhaai-chaara yahaan bhaai bhaai ko kam dekhte hain sikhaae hain jis ne tabassum takallum ab un par musallat sitam dekhte hain ye mahfil sajaai thi jis ke liye kyon use hi yahaan par adam dekhte hain ye eazaaz hai kyaa mohabbat kaa 'saarim' mohabbat ki aankhon ko nam dekhte hain"
Aziqur Rahman SarimAziqur Rahman Sarim
Quote
"har samt sulagtaa hai ghurbat kaa sharar ab tak roTi ko tarastaa hai duniyaa mein bashar ab tak tum jitnaa sitam Dhaa lo lekin ye haqiqat hai mazlum ki aahon mein baaqi hai asar ab tak jis samt nazar uTThe us samt bahaaraan ho tujh saa to nahin dekhaa andaaz-e-nazar ab tak din raat mohabbat mein martaa hi rahaa jis par us ko na mili mere marne ki khabar ab tak jis raah se muD kar ham aae the aji saahib bhule se kabhi ham ne dekhaa na udhar ab tak tum meri rifaaqat mein jis raah se guzre the main bhuul nahin paayaa vo raahguzar ab tak kis tarah ki basti mein ham aa ke base 'saarim' kaandhe pe liye laasha ki ziist basar ab tak"
Aziqur Rahman SarimAziqur Rahman Sarim
Quote
"log kahte hain ki qaatil ko masihaa kahiye kaise mumkin hai andheron ko ujaalaa kahiye chehre paDhnaa to sabhi siikh gae hain lekin kaisi tahzib hai apnon ko paraayaa kahiye jaane pahchaane hue chehre nazar aate hain vaqt qaatil hai yahaan kis ko masihaa kahiye aap jis peD ke saae mein khaDe hain is ko sehn-e-gulshan nahin jaltaa huaa sahraa kahiye sab ke chehron pe hain akhlaaq-o-muravvat ke naqaab kis ko apnaa yahaan aur kis ko paraayaa kahiye shab ke maathe pe koi saaya numudaar huaa us ko ab pyaar ke aangan kaa saveraa kahiye zahr-e-tanhaai-e-gham pi ke mohabbat mein 'khayaal' kis tarah maut ko jiine kaa sahaaraa kahiye"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"tire khayaal mein had se guzar gayaa koi gham-e-hayaat ko hairaan kar gayaa koi havaaein jin ke ishaaron pe raqs karti hain charaagh vo mire raste pe dhar gayaa koi mujhe pata bhi nahin chal sakaa magar mujh mein tamaam rang mohabbat ke bhar gayaa koi main she'r kahtaa rahaa jis ki yaad mein ab tak kal us ke jaisaa ghazal mein utar gayaa koi labon tak aayaa huaa qahqaha na rok sakaa phir us ki guunj suni aur Dar gayaa koi main khvaab buntaa rahaa zindagi ke aur kahin fareb-e-zist se ghabraa ke mar gayaa koi main sochtaa huun ki us kaa likhaa dikhaaun use kahe sune se to yaksar mukar gayaa koi bas ik zaraa si tavajjoh ki baat thi 'anvar' nazar nazar se mili aur sanvar gayaa koi"
Munir AnwarMunir Anwar
Quote
"zakhmon ke nae phuul khilaane ke liye aa phir mausam-e-gul yaad dilaane ke liye aa masti liye aankhon mein bikhere hue zulfein aa phir mujhe divaana banaane ke liye aa ab lutf isi mein hai mazaa hai to isi mein aa ai mire mahbub sataane ke liye aa aa rakh dahan-e-zakhm pe phir ungliyaan apni dil baansuri teri hai bajaane ke liye aa haan kuchh bhi to derina mohabbat kaa bharam rakh dil se na aa duniyaa ko dikhaane ke liye aa maanaa ki mire ghar se adaavat hi tujhe hai rahne ko na aa aag lagaane ke liye aa pyaare tiri surat se bhi achchhi hai jo tasvir main ne tujhe rakkhi hai dikhaane ke liye, aa aashufta kahe hai koi divaana kahe hai main kaun huun duniyaa ko bataane ke liye aa kuchh roz se ham shahr mein rusvaa na hue hain aa phir koi ilzaam lagaane ke liye aa ab ke jo vo aa jaae to 'aajiz' use le kar mahfil mein ghazal apni sunaane ke liye aa"
Kaleem AajizKaleem Aajiz
Quote
"kuchh ishq-e-butaan kuchh fikr-e-jahaan dil yaas kaa maaraa kyaa kahiye kashti ko talaatum kaa khatra aur duur kinaara kyaa kahiye apnon ke hamesha jaur-o-sitam ghairon kaa sahaaraa kyaa kahiye kis taur kiyaa hai duniyaa mein do roz guzaaraa kyaa kahiye bhaTkaa huaa aansu palkon ki chilman mein laraztaa hai aise jaise ki ghaTaa ke aanchal mein uljhaa huaa taaraa kyaa kahiye khud baiThe biThaae rotaa hai khud baiThe biThaae hanstaa hai dil aas kaa maaraa kyaa kahiye dil yaas kaa maaraa kyaa kahiye sajdon mein mohabbat ke 'zarrin' jab josh-e-ibaadat hotaa hai tab jaa ke kisi ko tufaan mein miltaa hai kinaaraa kyaa kahiye"
Mehr ZarreenMehr Zarreen