Shayari
jaise mumkin ho in ashkon ko bachaao 'taariq'
shaam aai to charaaghon ki zarurat hogi
kisi javaaz kaa honaa hi kyaa zaruri hai
agar vo chhoDnaa chaahe to chhoD jaae mujhe
کسی جواز کا ہونا ہی کیا ضروری ہے
اگر وہ چھوڑنا چاہے تو چھوڑ جائے مجھے
किसी जवाज़ का होना ही क्या ज़रूरी है
अगर वो छोड़ना चाहे तो छोड़ जाए मुझे

jaise mumkin ho in ashkon ko bachaao 'taariq'
shaam aai to charaaghon ki zarurat hogi
is lahje se baat nahin ban paaegi
talvaaron se kaise kaanTe nikleinge
phir aaj bhuuk hamaaraa shikaar kar legi
ki raat ho gai dariyaa mein jaal Daale hue
koi shikva na shikaayat na vazaahat koi
mez se bas miri tasvir haTaa di us ne
mizaaj apnaa milaa hi nahin zamaane se
na main huaa kabhi is kaa na ye zamaana miraa
saath hone ke yaqin mein bhi mire saath ho tum
aur na hone ke bhi imkaan mein rakkhaa hai tumhein