Shayari
vo zabt thaa ki aah na nikli zabaan se
dil pe hamaare kitne hi khanjar guzar gae
koi bhi shai hasin lagti nahin jab tere sivaa
ye bataa shahr mein ham tere sivaa kyaa dekhein
کوئی بھی شے حسیں لگتی نہیں جب تیرے سوا
یہ بتا شہر میں ہم تیرے سوا کیا دیکھیں
कोई भी शय हसीं लगती नहीं जब तेरे सिवा
ये बता शहर में हम तेरे सिवा क्या देखें

vo zabt thaa ki aah na nikli zabaan se
dil pe hamaare kitne hi khanjar guzar gae
aap dariyaa ki ravaani se na uljhein hargiz
tah mein us ke koi girdaab bhi ho saktaa hai
hamaari ziist mein aise bhi lamhe aate hain aksar
daraaron ke tavassut se havaa deti hain divaarein
tahzib hi baaqi hai na ab sharm-o-hayaa kuchh
kis darja ab insaan ye bebaak huaa hai
raabta kyuun rakhun main dariyaa se
pyaas bujhti hai meri sahraa se
us jaisaa dusraa na samaayaa nigaah mein
kitne hasin aankhon se paikar guzar gae