Shayari
main payambar tiraa nahin lekin
mujh se bhi baat kar khudaa mere
jitnaa dekho use thakti nahin aankhein varna
khatm ho jaataa hai har husn kahaani ki tarah
جتنا دیکھو اسے تھکتی نہیں آنکھیں ورنہ
ختم ہو جاتا ہے ہر حسن کہانی کی طرح
जितना देखो उसे थकती नहीं आँखें वर्ना
ख़त्म हो जाता है हर हुस्न कहानी की तरह

main payambar tiraa nahin lekin
mujh se bhi baat kar khudaa mere
jaag ke mere saath samundar raatein kartaa hai
jab sab log chale jaaein to baatein kartaa hai
talaash ek bahaana thaa khaak uDaane kaa
pata chalaa ki hamein justuju-e-yaar na thi
dil ko sambhaale hanstaa boltaa rahtaa huun lekin
sach puchho to 'zeb' tabiat Thiik nahin hoti
jagmagaataa huaa khanjar mire siine mein utaar
raushni le ke kabhi khaana-e-viraan mein aa
uDaa ke khaak bahut main ne dekh li ai 'zeb'
vahaan talak to koi raasta nahin jaataa