Sher
"main yuun hi nahin apni hifazat men laga huun mujh men kahin lagta hai ki rakkha hua tu hai"
"teri ankhon ke liye itni saza kaafi hai aaj ki raat mujhe khvab men rota hua dekh"
تیری آنکھوں کے لیے اتنی سزا کافی ہے آج کی رات مجھے خواب میں روتا ہوا دیکھ
तेरी आँखों के लिए इतनी सज़ा काफ़ी है आज की रात मुझे ख़्वाब में रोता हुआ देख

"main yuun hi nahin apni hifazat men laga huun mujh men kahin lagta hai ki rakkha hua tu hai"
"main ne jab khud ki taraf ghaur se dekha to khula mujh ko ik mere siva koi pareshani nahin"
"kabhi kabhi to ye vahshat bhi ham pe guzri hai ki dil ke saath hi dekha hai Dubna shab ka"
"us se kahna ki dhuan dekhne laa.iq hoga aag pahne hue main ja.unga paani ki taraf"
"vo ek din jo tujhe sochne men guzra tha tamam umr usi din ki tarjumani hai"
"main sochta huun bahut zindagi ke baare men ye zindagi bhi mujhe soch kar na rah jaa.e"